Dil shaad thha ke phool

Khilenge bahaar mein

Maaraa gaya gareeb,

Isee aitbaar mein

Mujhe teri muhabbat ka

Sahaaraa mil gaya hota

Mujhe teri muhabbat ka

Sahaaraa mil gaya hota

Agar toofaan nahin aataa,

Kinaaraa mil gaya hota

Mujhe teri muhabbat ka

Sahaaraa mil gaya hota

Agar toofaan nahin aataa,

Kinaaraa mil gaya hota

Mujhe teri muhabbat ka

Sahaaraa mil gaya hota

Na thha manzoor qismet ko

Na thhi marzi bahaaron ki

Nahin to iss gulistaan mein

Nahin to iss gulistaan mein

Kamee thhi kyaa nazaaron ki

Meri nazron ko bhi

Koyee nazaaraa mil gaya hota

Agar toofan nahin aatha,

Kinaaraa mil gayaa hota

Mujhe teri muhabbat ka

Sahaaraa mil gaya hota

Khushi se apni aankhon ko

Main ashqon se bhigo leta

Mere badley tu hans leti

Mere badley tu hans leti

Tere badley main ro letaa

Mujhe ai kaash

Tera dard saaraa mil gayaa hota

Agar toofan nahin aata,

Kinaaraa mil gaya hota

Mujhe teri mohabbat ka

Sahaaraa mil gaya hota

Mili hai chaandni jinko

Ye unki apni qismet hai

Mujhe apne muqaddar pe

Mujhe apne muqaddar pe

Fakhat itni shiqaqyat hai

Mujhe toota hua koyee

Sitaaraa mil gaya hota

Agar toofan nahin aataa,

Kinaaraa mil gaya hota

Mujhe teri mohabbat ka saharaa mil gaya hota